05

Chapter 1

Hello ji! 😂

Toh finally Ishq-E-Haqiqi ka pehla chapter shuru ho raha hai!

Daneen ko bold aur savage samajh ke aaye ho? Good. 😌

Bas yaad rakhna... yeh ladki khud bhi confused hai aur doosron ki zindagi bhi confuse karegi. ✨️🤣

Enjoy the chaos! ✨

____________________________________

आज़मा ले... आ जा तू सामने

आज़मा ले... आ जा तू सामने

दिल पर्दाफ़ाश है

नीयत ऐय्याश है

ना बन शरीफ़ तू, बाबली बदमाश है

बाबली बदमाश है...

ना बन शरीफ़ तू, बाबली बदमाश है

____________________________________

Lights, Music, Luxury

Pura hall glow kar raha tha, crystal chandeliers aesthetic decor par log, jo bas ek hi shaks ka wait kar rahe the. Background mein soft music chal raha tha.

Aaj ki raat kuch khaas thi, kisi ke liye.

In Someone's Room

"Yeh... ya yeh." (Flipping outfits)

Room mein kapdo ka mess tha. Bed par black, maroon, silver har outfit phaila hua tha, lekin decide abhi tak nahi hua tha ki kya pehna jaye.

Mirror ke saamne khadi wo ladki apne aap se baat kar rahi thi,

"Aaj kya ho raha hai mujhe? Main decide kyun nahi kar paa rahi hoon?"

(Her reflection): "Kyunki aaj Daneen ka birthday hai, toh thoda special lagna toh banta hai."

(So, the girl who is talking to herself is none other than Daneen Raza.)

Daneen ghadi ki taraf dekhti hui,

"Oh no, itna time ho gaya. Wo aa gaye honge. Jaldi soch, Daneen."

Tabhi uska phone ring hota hai. She picked the call.

(Other side): "Miss Birthday Girl, kahan ho? Sab aa gaye hain, tumhara intezaar ho raha hai."

Daneen said, "Ilhaam wait bht bolti hai sunti nahi hai, yaar ek toh samajh nahi aa raha kya pehnu."

Ilhaam said, "Allah Allah abhi tk ye bhi decide nahi hua."

Daneen let out a frustrated sigh.

Ilhaam said, "Abhi Bhai se kehti hoon."

Daneen said, "Nahi pagal h kya? Sun, Kiyuu hai tere paas?"

Ilhaam said, "Haan, hai to l."

Daneen said, "Yaar use de phone abhi."

Ilhaam handed her phone to Kiyaan.

Kiyaan: "Hmm, Noor kya hua? Tum theek toh ho?"

Daneen: "No, I need your help."

Kiyaan: "Hukam karo."

Daneen: "Mujhe samajh nahi aa raha kya pehnu?"

Kiyaan: "Bas do minute rukko. Tumhare room mein parcel aayega, wo pehen lena."

Daneen: "Huh?"

Kiyaan: "Sawaal mat karo. Call cut karo, main yahan handle karta hoon. Bijaan ka BP shoot ho jayega nhi to".

Daneen: "Allah Hafiz."

Call cut abruptly.

In Hall

"Kitna aur wait karna padega?" Rehaan said impatiently.

"Relax, tumhe pata hai na late aana or slay krna uski hobby hai," Kiyaan said with a smile.

Bijaan sofa par baithi thi, haath mein tasbeeh halki si ghoom rahi thi, lekin aankhon mein ek hi shakhs ka intezaar tha.

Kiyaan POV:

Gift toh de diya, par use pasand aayega ya nahi, wo kaisi lagegi us saree mein, pata nahi wo pehnegi ya nahi. Wo baar-baar use bas us saree mein imagine kar raha tha.

Isi khayal se uske hotho par halki si muskurahat aa rahi thi. Pata nahi wo kaisi lagegi, shayad... kya pata, aaj Daneen uski choice pehne.

Wo meri zindagika noor hai aur main chahta hoon Allah uski zindagi mein bhi apni mohabbat ka noor daal de, aur wo hamesha khush rahe.

Daneen POV:

Call end hoti hi room mein ek silence sa chha jata hai. Tabhi door par knock hota hai.

Daneen darwaza kholti hai. Wahan ek delivery boy khada hai. Wo Daneen ko parcel deta hai aur chala jata hai.

Daneen andar room mein aakar parcel open karti hai. Uska saans ruk jaati hai. Wo halka sa us saree ko bahar nikalti hai.

Uske chehre par ek badi si smile aa jaati hai.

"Ye mera...bina bola kaise samajh jaata hai? Or main pagal kbse confuse... I know Shaazil ko ye bht pasand aayega, wo dekhta hi reh jayega.

You're the best Kiyuu."

Jaldi tayyar ho jaati hoon. After 30 min she is fully ready.

She checked herself last time in mirror.

"U know, main apni favourite hoon."(blow flying kiss to herself)

"Love you Daneen. Aaj chhaa jaana hai. Bas usko impress karna hai, wo ho jaye toh din ban jaye."

She left for hall.

After 40 min at Hall:

The entire hall filled with chatter and laughter and impatience. Bijaan checked his watch again.

"Rehaan, jaa dekh kar aa, bachchi kahan reh gayi. Mene Kaha tha sath hi chalte hain?"

Suddenly, the lights flickered, the music softened, conversation slowed to a close.

At the entrance, she appeared.

Daneen, draped in black silk. The saree flowed perfectly around her, every step measured, graceful, effortless. Her hair fell softly over her shoulders, a few strands framing her face. Minimal jewellery.

For a moment, the entire hall went silent.

Sabki nazrein bas usi par thi. Or Kiyaan ka toh jaise waqt ruk sa gaya ho. Wo confidence se aage badh rahi thi, uski nazrein itni bheed me bs Kiyaan par ruk gayi halka sa eye Contact hua....

She smiled softly and the eye contact broke.

Rehaan said teasingly,"Bhai, saans le."

Par Kiyaan ki nazrein Daneen par hi ruk chuki thi. Rehaan shook Kiyaan. Kiyaan realised he didn't breathe.

Daneen stopped in front of Bijaan. Bijaan arms crossed staring at her.

Bijaan: "Itna late kaise ho gayi?"

Daneen: "Wo jo main pehenne wali thi, wo jal gaya isi liye." (Safed jhoot)

Rehaan (raised an eyebrow): "Achha?"

Ilhaam: "Achha na, aaj birthday hai usko, ye investigation baad mein."

Daneen scoff and thank Ilhaam through eyes.

Daneen went straight to Kiyaan. Kiyaan forgot how to breathe.

Daneen: "Kaisi lag rahi hoon?"

Kiyaan: "Bilkul meri." (Mumbles)

Daneen: "Kya?"

Kiyaan: "Bilkul perfect."

Daneen: "Huh."

Kiyaan: "Bht pyaari, mashallah. Ruko ek minute. (Reciteأَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ، وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لَامَّةٍ) and blow air on Daneen's head)

(Meaning: "Main Allah ke poore kalimaat ki panaah leti hoon har shaitaan, har nuqsaan pahunchane wali cheez aur har buri nazar se."

Daneen: "Ye kya tha?"

Kiyaan: "Nazar utar raha tha."

Ilhaam: "Awww, Kiyaan kitne pyare ho aap."

Daneen blushed lightly. Kiyaan's face flushed red.

Daneen straightened herself,"Shaazil ne aaya abhi tak?"

Kiyaan's face fell and hurt flashed in his eyes, but he masked it with a smile. "Wo bahar gaya hai abhi."

Ilhaam thinks, "Pata nahi ise kb samajh aayegi Kiyaan ki mohabbat aur uska dard."

Rehaan calls Daneen to cut the cake. She cut the cake and fed everyone.

After that Daneen went to find Shaazil.

In Garden...

Shaazil apne ek friend se baat kar raha tha.

"U know na Daneen tumhe kitna pasand karti hai, fir tum uske saath aisa kyun ho?" his friend said.

"Tum jaante ho na main pyaar, mohabbat mein believe nahi karta aur rahi baat Daneen ki to "SHE IS NOT MY TYPE" I know, Bold h but mujhe ek ladki ke haath mein apna control nhi dena .. meri zindagi mein bas ek ahem aurat hai, aur wo meri ammi hai bas."

Shaazil said confidently, not knowing Daneen listen every word he said.

After that Shaazil and his friend went back in hall.

Daneen stood there, her heart shattered and one line echoed in her ears,"SHE IS NOT MY TYPE."

She laughed like a maniac after that and walked to the road, but she already lost her senses. The only words that she heard is Shaazil's words echoed in her mind.

Dil me bht si uljhane or dimaag me bas ek shor shaazil ki baatien.

Ek car uski taraf aa rhi thi..

Headlights ki roshni uski taraf thi.

Beep fir zor se beep... beep...

Daneen ne react nahi kiya. Jaise usne suna hi nahi. Ya shayad... wo sunna hi nahi chahti thi.

Phir achanak bas ek shor "Aahhh!" Sab kuch ruk gaya.

Daneen ki body zameen par zor pe aa giri. Uski aankho k aage andhera aane lga.....

Aur bas aakhri baar jo usne naam liya,

"Bhai..."

Aur phir bas andhera.

____________________________________

Hehehhehehe..... Sorry kya soch ke aaye the kya ho gya pehle hi chapter me trauma be ready for the next chapter .......

Tb tk ke liye by cuties 😍 .

Write a comment ...

Write a comment ...

Farheen Salmani

"Halal romance • Soft hearts • Honest emotions." "Love stories written with Sabr & Shukr."