Kabhi kabhi zindagi kuch aise mod deti hai jahan ek pal mein sab badal jaata hai — kuch muskaan ban kar, kuch ansuon mein chhup kar.
Ye chapter wahi pal hai... jahan dosti, mohabbat aur taqdeer — teeno ek saath khel khelte hain.
Tayyar ho jaaiye, kyunki aaj ke din mein hai ek “Surprise aur Shock”. 💫
Kuch kahaniyaan muskurahat pe khatam nahi hoti...
Unke peeche chhupi hoti hai ek aisi kahani — jisme har jawab ke saath ek naya sawaal milta hai.
Aaj jo surprise laga, shayad kal wahi shock ban jaaye…
Tayyar ho jaaiye, kyunki ab asli khel shuru hone wala hai. 😶🌫️💫
________________________________
At Hashim Mansion
Three of both them enter in Mansion.
Faiza- Assalamu Alaykum Baji. Ye lijiye pani Or Coffee ready hai.
Zoya:Walaykum Salaam. Thik hai le aao. Or Raat ke Khane m Kya hai.
Faiza: Bta dein Baji Kya banega.
Zoya- Biryani, Rayta, Salad or Kheer. Ar ha Kheer rehne dena baki sb bna lena Jao ab.
Shaziya went to Kitchen. She came back with coffee. The mug placed on table
and she went to Kitchen again.
Zoya = I want we help Sehrish.
Sehrish = Kya help chahiye.
Zoya = Mujhe Kheer bnani sikha do. M
Ammi Baba ko surprise dena chahti
hu.
Sarim is in shocked. Then he touch Zoya's
forehead and said "Bukhar to nhi hai or
dimag bhi sahi jgh hai".
Zoya = Kya kr rha hai Kutte tu.
Sarim = Dekh rha hu tu Khana bnane ki
baat kr rhi hai.
Zoya = Hm Koi shaq. (whisper) Tu ni
chahta Sehrish yaha zada der ruke.
Sarim smiled 'O. Acha Ha bilkul Tu Kitni
pyari hai Zoi?
Zoya = Bs kr rhne de.
Sehrish = Chle fir Kitchen me.
Zoya: Haan Chlo. Wese tumhe pta hai
Sehrish. Sarim bht achi cooking
krta hai.
"Pr Sehrish se achi nhi" Sarim said.
Sehrish said Jazakillah Khair.
Then Zoya and Sehrish went to kitchen.
Zoya kitchen me haath me ladle pakad ke ghoom rahi thi, aur Sehrish uske side me patiently instructions de rahi thi.
Zoya: (confused aur thoda worried)
“Sehrish, ye kheer ka kya scene hai? Doodh itna thick kyu ho gaya?”
Sehrish: (muskurate hue)
“Arre Zoya, patience rakho. Thoda aur hilao, perfect texture aa jaayega. Tumhare chaos me hi sweetness hai.”
Zoya haath hilate hilate ladle girane wali thi.
Zoya: “Oye! Lagta hai main khud bhi kheer me gir jaaungi.”
Sehrish: (laughing softly)
“Bas dhyan rakho… warna Ammi aur Baba ke surprise ka plan fail ho jaayega.”
Thodi der me kheer ready ho gayi aur dono balcony me jaake taste testing kar rahi thi.
Zoya: “Hmm… thoda aur chini? Ya perfect hai?”
Sehrish: (smiling)
“Perfect hai, Zoya. Tumhari effort me already sweetness hai.”
Zoya: (chhoti si muskaan)
“Kal to farewell hai kya pehenne wali ho Miss perfect?”
Sehrish: Meri chodo tum btao.
Zoya: Chlo Room me abhi mene decide ni kiya.
(Room me dono girls bethi hain — bed pe kapde, earrings aur sandals ka pura mela laga hai. Mirror ke saamne Zoya confused face leke khadi hai.)
Zoya: (dramatically)
“Sehrish mujhe lagta hai main kal style icon banungi ya disaster of the year!” 😩
Sehrish: (folding her dupatta neatly)
“Zoya, tujhe disaster banna bhi koi bura nahi lagega. Tu khud bolegi — ‘Main unique hun’!” 😂
Zoya: (fake glare)
“Haha, very funny! Tu dekhna, kal main tujhe bhi overshadow kar dungi.”
Sehrish: (smiling calmly)
“Shadow sirf tab padti hai jab light kisi par pade, Zoya. Mujhe toh teri light pasand hai.” 💫
Zoya: (pouting)
“Acha na, tu emotional mat ho. Pehle ye bata — saree pehnu ya gown?”
Sehrish:
“Gown le le, warna saree me tu stage pe chalte hue gir jaayegi.”
Zoya: (offended)
“Excuse me! Main girti nahi… bas gravity mujhe zyada pasand karti hai!” 🤭
Sehrish: (laughing)
“Gravity aur tu — dono ek dusre ke soulmate ho.”
Zoya: (checking mirror)
“Dekh na, ye heels acchi lag rahi na?”
Sehrish: (observing seriously)
“Pretty hain, par tu unhe pehente hi gira degi.”
Zoya: (shocked expression)
“Tu mere confidence ko heels ki height se bhi chhoti bana rahi hai!”
Sehrish:
“Main sirf tujhe reality check de rahi hoon, meri clumsy queen.” 👑
(Zoya throws a pillow playfully.)
Zoya:
“Fine! Tu bata — tu kya pehne wali hai?”
Sehrish:
“Simple saree. Pastel shade, pearl earrings, nude heels.”
Zoya: (rolling eyes)
“Of course! Miss Perfect Sehrish ka minimalist elegance. Tujhe dekhke lagta hai tu farewell me bhi presentation dene ja rahi hai!” 😆
Sehrish: (smiling softly)
“Kam se kam presentation me marks milte hain. Tumhe toh surprise entries milti hain — ek dum film style!”
Zoya: (grinning)
“Toh kal hum dono opposite hi rahenge — tu calm, main chaos.”
Sehrish: (smiling)
“Aur dono milke perfect balance.” 💞
(Dono ek dusre ko dekhti hain, hass padti hain. Background me soft instrumental music bajta hai.)
Zoya: (leaning back)
“Sehrish, kal ke baad sab badal jaayega na?”
Sehrish: (looking at her reflection)
“Haan… par dosti nahi.”
(Short silence. Zoya smiles faintly.)
Zoya:
“Promise?”
Sehrish: (nods)
“Double promise".
Tabhi unhe Car ka horn sunai deta wo log balcony s dekhte h ki sarim Aa gya parents ko airport s lekr.
Sarim went to airport to pick up their parents. As they reach home
Sarim sat on sofa. Sehrish and Zoya
Greeting them. And give them glass of
water. All of them continue their chit
chat. After 1 hour.
Zoya said "aap fresh ho jaye m khana lgati hu".
Sehrish phone rang she excuse herself and attend the call.
"Hi Mihi, Kesi hai" Sehrish said.
"Allahamdulillah, I miss you" Meher said.
"I miss u too Jaan" Sehrish said.
Sarim called Sehrish for dinner.
Meher said "where r u".
Sehrish said "Zoya ke ghr wo mujhe le
aai the apne sath akeli thi na".
Meher said "ok fine Jaan Enjoy your
dinner with Sarim".
Sehrish said "Shut up" (Blushing).
Call Cut
She came back for dinner. All sat on
chair in dining. Start their dinner.
When all of were done eating. Then
Zoya- I have something special. Then
she came back from a bowl in hand.
Misbah Kheer.
Zoya - jiii Ammi, Mene bnayi hai Sehrish
ne sikhayi hai.
Hashim - Mashallah, Baba Ki Jaan
Aaj to hum do bowl Khayenge.
Then all take kheer in bowl. Zoya
was waiting for response. Hashim
said "Waah Mashallah bete bht achi
bni hai Aapki ammi ke hath se bhi zyada
tasty".
Misbah - Acha ji. (Glared at Hashim) wese sach to hai.
Next day At Aziz Mansion
Sehrish room
Room me soft light hai, Zoya bed pe bethi hai — front mirror me apna saree pin karne ki mushkil lad rahi hai.
Sehrish neatly apna outfit ready kar rahi hai, har cheez bilkul perfect order me.
---
Zoya: (frustrated)
“Yaar Sehrish, ye saree mujhe wrap ni hoti! Har baar ye kapda mujhe chakkar me daal deta hai!” 😩
Sehrish: (laughing softly)
“Zoya, kapda nahi… tu khud chakkar me daalti hai. Idhar aa, main theek kar deti hoon.”
(She comes closer, saree set karti hai, pins adjust karti hai)
Zoya: (thoda emotional)
“Aaj farewell hai… matlab ye college life khatam… ye saari masti, assignments, bunk — sab!”
Sehrish: (gentle smile ke saath)
“Hm… waqt kitni tezi se nikal gaya na? Kal tak hum fresher the, aur aaj farewell…”
Zoya: (cute pout)
“Tu toh calm hai jaise tujhe koi farq hi nahi padta. Mujhe toh lag raha hai jaise kal se duniya badal jaayegi.”
Sehrish: (softly)
“Farq toh padta hai, Zoya. Bas main emotions chupane me expert hoon, tu express karne me.”
Zoya: (dramatically)
“Wah! Ek aur line likh le, book publish kar de — Perfect Sehrish aur Clumsy Zoya ki Dosti ke 101 Quotes!” 😂
(Sehrish laughs, shaking her head)
Sehrish:
“Pagal. Tu farewell speech me ye dialogue bol dena, sab hans padenge.”
Zoya: (suddenly silent)
“Par tu jab stage pe jaayegi na, sab emotional ho jaayenge. Tere bina college kitna khaali lagega…”
Sehrish: (sitting beside her)
“Main yahin hoon Zoya, bas routine badlega. Dosti nahi.”
Zoya: (smiling faintly)
“Promise? Tu mujhe bhoolegi nahi?”
Sehrish: (placing hand on her head)
“Main tujhe bhoolu? Impossible. Jo meri life me sugar aur chaos dono laati hai, usse kaise bhool sakti hoon?”
Zoya: (teary laugh)
“Tu toh meri Ammi lagti hai kabhi kabhi… sab sambhal leti hai, aur main bas sab bigaad leti hoon.”
Sehrish:
“Bas tu aise hi rehna, Zoya. Har waqt pagal, par dil se saaf. Tere bina college boring hota.”
Zoya: (hugging her tightly)
“Tu na, meri life ka sabse beautiful chapter hai Scheush…”
Sehrish: (hugging back)
“Bas ab ro mat, warna makeup phir fail ho jaayega.” 😂
Zoya:
“Arey wah! Perfect Sehrish bhi joke maar sakti hai?”
Sehrish:
“Bas itna hi seekha tumse college ke saalon me.” 😄
(Dono hans padti hain, aur camera slowly zoom-out karta hai — laughter ke beech me ek halka sa dard chhupa hai.)
Wo dono ready hokr niche aati hai jaha Sehrish k parents or Zoya k parents un dono ka wait kr rhe h wo dono ko dekhte hi khte hai "Mashallah ❤️".
---
Farewell Scene – College Lawn
Shaam ka waqt hai. Farewell party almost khatam hone wali hai.
Lawn me fairy lights chamak rahi hain, hawa me thodi si thandak hai.
Zoya aur Sehrish dono ek corner me khadi hain — matching pastel sarees me, subtle makeup, aur woh natural grace jo unhe sabse alag banata hai.
Ruhaan aur Sarim thoda door khade hain — dono ke expressions calm, par dil me tufaan.
Wo un dono ko lene aaye hai college se.
---
Ruhaan (subconscious me):
“Yaar, ye Zoya ka smile… ye toh koi farewell nahi, mera heart attack announcement lagta hai. Bas ek baar keh doon ke mujhe usse mohabbat hai… par nahi… abhi nahi.”
Zoya ek group photo ke liye aage badhti hai, thoda balance lose karti hai — Ruhaan automatically ek step aage badhta hai, par usse pehle Sehrish ne uska haath pakad liya.
Ruhaan ruk gaya… aur bas dekhta reh gaya.
Ruhaan (andar hi andar):
“Har baar koi na koi use sambhal leta hai… shayad meri zarurat abhi nahi. Par dil maanta hi nahi.”
---
Dusri taraf — Sarim ki aankhein sirf Sehrish par tikhi hui hain.
Sehrish calmly sabko thank kar rahi hai, ek soft smile ke saath.
Sarim (subconscious):
“Ye ladki jitni perfect hai, utni door bhi. Jab bhi sochta hoon keh doon sab kuch, bas ek muskaan deti hai… aur main phir khamosh ho jaata hoon.”
---
Zoya: (laughing loudly)
“Sehrish, yaad hai pehla din? Jab maine presentation ke slide me ‘fashion’ ki spelling galat likh di thi!”
Sehrish: (teasing)
“Galat likha tha? Tumne toh ‘fation’ likh diya tha, Zoya Hashim version of Oxford dictionary!”
Sab hans padte hain, Ruhaan aur Sarim bhi.
Par unke hanso ke peeche ek silence chhupa tha — woh silence jisme unsaid feelings ki awaaz thi.
---
Music slow ho gaya — farewell song baj raha tha:
“Yaadon ke safar me, dil ke nazdeek hum rahe…”
Sehrish aur Zoya ek dusre ko hug karti hain, aankhon me halki nami ke saath.
---
Lights dheere dheere dim ho jaati hain.
Sehrish aur Zoya exit door ki taraf badhti hain — ek baar peeche mud kar smile deti hain.
Sarim aur Ruhaan dono ke lips se ek saath nikalta hai, “Take care…”
Par dil me dono ke alag alag lafz chhupe the —
In Ruhaan–Sehrish’s car]
(Car ke andar soft music chal raha hai. Sehrish seat pe tik kar baithi hai, smile uske lips pe hai.)
Ruhaan (glancing at her):
“Lagta hai Madam Farewell Queen ban gayi aaj. Sab tumhari tareef kar rahe the.”
Sehrish (grinning proudly):
“Haan to obvious hai. Maine kaha tha na, perfection naam hai mera.”
Ruhaan (laughing):
“Perfection nahi, show off ka dusra naam hai tera.”
Sehrish (rolling eyes):
“At least main confident toh hoon. Tum dekho, jab Zoya stage pe aayi thi — aankhein gol gol ho gayi thi tumhari!”
Ruhaan (pretending to be cool):
“Kya? Main toh bas… lights dekh raha tha. Bright thi thoda.”
Sehrish (smirks):
“Haan, light hi thi — Zoya Hashim naam ki light.”
(Ruhaan awkwardly clears his throat, steering wheel pe fingers tap karta hai.)
Ruhaan:
“Tune notice hi sab kuch kar liya, detective behen.”
Sehrish (teasingly):
“Of course! Tumhara face bol raha tha ‘yeh ladki kisi aur planet ki lagti hai’.”
Ruhaan (half-smiling):
“Shayad lagti bhi hai…”
(Phir quickly badal deta tone)
“Matlab… as a friend, obviously.”
Sehrish (grinning knowingly):
“Of course bhai, as a friend.”
(She makes air quotes and turns to window, hiding her laughter.)
(Background mein car silence mein do seconds ke liye doob jaati hai — sirf unke dil ki dhadkane sunai deti hain…)
---
[In Sarim–Zoya’s car]
(Zoya seat pe comfortably baithi hai, heels hath mein, thodi tired hai lekin smile uske face pe chipki hai.)
Sarim (laughing):
“Dekha! Bola tha na, heels pe mat bharosa kar. Ab dekh — dono haath mein leke chal rahi thi.”
Zoya (pouting):
“Bhai! Uncomfortable thi, par outfit ke saath perfect lag rahi thi.”
Sarim:
“Outfit perfect tha, aur tum bhi… but Ruhaan ne jese dekha tha na tumhe — uska face dekhne layak tha.”
Zoya (blushing, trying to act normal):
“Stop it bhai! Tumhe sab dikh jata hai na?”
Sarim (teasingly):
“Main bhai hoon, mujhe sab pata hota hai. Tum blush kar lo jitna chaho, par aankhein sab bol deti hain.”
Zoya:
“Bhai… main sirf usse achha friend samajhti hoon.”
Sarim (smirking):
“Bas wahi line Ruhaan bhi bol raha hoga abhi… ‘sirf friend’.”
(Zoya window se bahar dekhti hai, smile uske lips pe halki si udti hai, jaise koi secret uske dil ke andar bass gaya ho.)
After 6 Months
At Aziz Mansion
Waqas: Mashallah, Meri beti ki padhai mukammal ho gyi.
Sehrish: Jazakillah Baba Kya ab m job kr skti hu.
Waqas: Beta, job ki Kya zaroorat m tumhe botique open kr deta hu.
"Uski koi zaroorat nhi hai humari beti humare sath kaam karegi".
All turned to the voice there Hashim is standing with his family. All greet each other. Then sat on couch. Seher gave water glass to all.
Waqas: Kya Kh rhe ho Hashim.
Hashim: Wo Mene Apne department m ek fashion designing ka section open kiya so I thought, Sehrish is capable of this.
Waqas: That's great.
Sehrish: Jazakillah Khair, Uncle.
Hashim: Uncle? Beta Zoya or Sarim Waqas
ko bade baba bolte hai or tum mujhe uncle that's not fair.
Sehrish: Maazrat Baba.
Hashim: Good (Hug Sehrish).
Seher: Chlo lunch ready hai.
All went to dining table sat on chair
finish their food.
Hashim: I wanna talk to you Waqas and
Bhabhi.
Waqas: Bolo.
Hashim: Bachcho Aap log, bahar ghoom
aao.
All youngster's went to the lawn.
Hashim: Waqas, m jo khna chahta hu sun na fir react kerna. (Interrupt
Waqas) Kya baat hai.
"M Apni dosti rishtedaari m badal
chahta hu."
Seher and Waqas Exchange glance Hashim
I mean M sarim ke liye Sehrish ka rishta
chahta hu If u agreed.
Waqas said "M bht khush hu per Ek baar sehrish se puch lu
Hashim said "Ha, zaroor".
Then Hashim family, went for Hashim Mansion.
At Aziz Mansion
Sehrish, Ruhaan sat on couch. Waqas asked "Sehrish, Beta Hashim-sarim ka rishta chahta hai tumhare liye".
Seherish stammering "K.....Kya.....Kya" and her eyes welled up in tears. And she ran towards her room.
Waqas called Seherish continuously.
" Beta If you say no I will accept".
Ruhaan: It's okay baba, M dekhta hu usse
Ruhaan reach at sehrish room's door
and knock. "Ishi open the door , Bachcha
please open the door. Listen to me at once.
The door get open.
Ruhaan came to Sehrish and hugged her tightly. "Shh Sh Ishi calm down". While she is sobbing continuously.
"Ishi bs unhone pucha hai If u say no they
will accept". Ishi in sobbing said "bhai
wo q chla gya.
Ruhaan said "Bachcha usse bhool ja, or agar usse bhoolna h to Sarim se
Rishta accept krle Ishi wo bht acha ha.
Sehrish said "I know bhai , Aap baba ko
haan kehdo or mujhe thodi der akela
chod do plz.
Ruhaan nodded and left the room. In living room Ruhaan said to his father "Baba she said yes".
Waqas was overwhelmed and said "Really".
Ruhaan nodded.
Waqas called Hashim and said that Sehrish said "yes".
Hashim said "Ok kl graduation party hai engagement kr dete h dono ki.
Waqas to Seher "Tommorrow is Engagement Taiyyari kr
lo".
Seher: pr kl to graduation party h baccho
ki.
Waqas: Hum, Party m announcement kr
denge engagement ki. Sabrina or
Faraz aa rhe h na Or Saba or Zeeshaan ko bhi call kr dena. Thik hai.
Seher: Ji Mene pehle hi kr diya hai.
All went to their room for sleep.
________________________________
Arre ruk jao zara... chapter khatam hua matlab vote bhool gaye kya? 😏
Agar “Surprise aur Shock” ne thoda sa bhi smile, blush ya “arey ye kya ho gaya!” wala moment diya ho —
toh vote zarur karna! 😍
Aakhir author bhi insaan hai... emotions aur votes dono se jeeti hai 💕😂
Write a comment ...