Pichle chapter mein humne dekha ke dono families ke darmiyan rishte aur samajh boojh aur gehri ho rahi hai. Dostiyan aur muskaan ke saath kahani ne apna safar aage badhaya.
Is naye chapter mein ek nayi subah hai… jahan jazbaat aur dil ki baatein apna pehla rang dikhane lagti hain. Ab kahani ek aur khoobsurat mod par hai—Mohabbat ka aagaaz. ❤️
Agar aapko ye chapter pasand aaye to apna pyar aur support votes ke zariye zaroor dikhaiyega. Aapke votes hi meri mehnat ka sabse bada inaam hain. 🌷✨
________________________________
Baarish ke boonden tez hone lagi thi. India Gate ki roshni ke neeche bheege hue log bhaagne lage, lekin Sarim aur Sehrish ek jagah ruk gaye. Baarish m wo dono hi kho gye the.
🌸 Sehrish ka POV:
Dil se bas ek hi aawaz uth rahi thi…
“Ya Allah… itna kyun sata rahe ho mujhe? Mera bachpan ka pyaar… mera Sam… mujhe akela kyun chhod gaya? Kya wo mujhe bhool gaya? Ya phir kahin wo bhi isi baarish ki boondon mein mujhe yaad karta hoga? Mere Rab, agar usne mujhe sach mein bhula diya hai, toh yeh yaadein kyun ab tak zinda hain? Allah ek sawaal n bechain kiya hua hai ye Sarim mujhe Apna sa q lgta h iske aas pass hone s mujhe sukoon q milta h?
Sehrish ki palkon par baarish ki nami thi, lekin uske dil ko lagta tha jaise aansu beh rahe ho. Uske chehre par muskaan banne ki koshish thi, par dil andar se Allah se shikayat kar raha tha.
---
🌸 Sarim ka POV
Sarim ne khamoshi se aasman ki taraf dekha, jaise jawab wahi se aayenge. Dil mein ek hi sawaal baar baar gunj raha tha:
“Ya Allah… meri galti hai mujhe ek baar to use btana chahiye tha mera Naam Kya wo mujhe yaad krti hogi? Kya usne kabhi mujhe yaad kiya hoga jaise main aaj tak karta hoon? Har dua mein maine uska naam liya… har khwahish mein uska chehra maanga… phir bhi wo mujhse door kyu hai? Agar mohabbat galat nahi thi, toh phir ye fasle kyu hain? Allah ye kesi kashmakash h mujhe Sehrish m apni ishi q nazar aati hai kya tune use mere liye chuna h agr ha to Allah meri dil m Ishi ke liye mohabbat q daali?".
Baarish ki har boond uske zakhm ko aur gehra karti ja rahi thi. Usne apne dil ki baat zubaan par laane ki koshish ki, lekin sirf Allah hi uski shikayat sun raha tha.
Or dusri trf Ruhaan or Zoya bs khamoshi s unhe dekh rhe hai.
Zoya:Ab Ghr chlna chahiye. Bht late ho gya hai.
Ruhaan:Hmm.
Zoyaa Sarim or Sehrish ko awaaz lgati hai or fir wo sb ghr k liye nikal jate hai.
Sab ghar pohochte hai.
Ruhaan - Ishi tum jaake change karo poori bheeg gyi ho bimar padh jaaogi. Aur Saarim tum mere sath mere room me chalo me tumhe apne kapde de deta hun.
Saarim - Kya kaha tumne sehrish ko. I mean kya naam liya.
Ruhaan - Ishi.
Zoya - Kitna pyaara nick name hai. Accha chalo room me mein bhi thak gyi hun.
Ruhaan - Accha to aap thakti bhi hai?
Sehrish: Accha ab ladna mt shuru krna.
Sehrish Zoyaa ka hath pkd kr apne room me le jati hai.
Sarim manifesting his ishi.
Ruhaan put his hand on Sarim's shoulder.
Sarim back to reality...
Sehrish's Room
Zoya room me entry krte hi Washroom m change krne chli jati hai or Sehrish Room m uska wait kerti hai fir wardrobe me se night suit zoya ko deti h or apne liye plazo kurti nikalti hai or leke washroom m chli jati hai. Change krke bahar aati h to time dekhti hai 2:30 Tahajjud ka waqt ho rha hai Namaz bhi padh leti hu fir uski nazar apne phone ki notifications pr jati wo dekhti hai 20 Missed calls from Meher wo shock m aa jati hai Meher ko call krti hai.
After 2 ring
Meher: Hlo, Mil gyi fursat. Kaha gayab thi, Me kitna pareshan ho gyi thi. Pta h Kuch. Or Ruhaan bhi phone ni uthe rha.
Sehrish:Tune Ammi Baba ko to call nhi ki na.
Meher:Nhi. Mene itna sb pucha or tujhe yhi bolna tha bs.
Sehrish: Sorry.(sheepishly) Bs, ruk ja mere Chennai express. Hua kya hai? Kyu pareshan hai.
Meher: Kl Exam hai Mujhe ek situation samajh ni aa rhi Ruhaan se puchni hai.Or ha phle hi bta deti hu meri frnd ki problem hai qki tu to janti h m Science lecturer hu.
Sehrish: Ruk. M abhi Ruhaan se bolti hu Thoda relax kr. Ok.
Sehrish went to Ruhaan's Room without knocking. She enter in room. She suddenly yelled. Sarim wake up from bed in sleep "what happened?"
Sehrish: Aapki shirt kaha hai.
Sarim: Sorry. M thak gya tha or Ruhaan washroom m time lga rha tha to m aise hi so gya.
Sehrish: Ok Calm down. Ab pehen lo pr plz jldi.
Sehrish: Ruhaan jldi aao Meher ki call hai.
Ruhaan: Ab Kya hua. Wo thik to hai itni raat ke uska phone. (concern).
Sehrish = Aakr, khud hi puch lo.
Ruhaan = Thik hai use kaho m 5 min m call krta hu wuze kr rha hu.
Sehrish = Ok. (Room se bahar aa jati)
Sehrish said to Meher 5 min m call kr rha hai.
Meher = Ok, bt ye bta tu chillai q thi.
Sehrish = Btaya tha na Baba ke frnd humare neighbour hai to Unke Ammi Baba ko London jana pada unke bhabhi ki tbyt achanak kharab ho gyi usiliye bs to Zoya or Sarim yaha hai. Sarim Ruhaan ke room m tha or shirtless tha to bs isiliye cheekh nikl gyi.
Meher = Isme cheekhne ki kya zaroorat thi Yaar. I mean itna bura hai kya.
Sehrish = Nhi to.
Meher = Kya Kaha tune. Nhi It means acha hai. Bht.
Sehrish: Namaz ke baad baat karti hu Allah Hafiz.
Meher: Acha sun, to.
Sehrish cut the call.Sehrish face heat up
Blush spread across her face.
Fir Sehrish apne room mein jaker wuzu karti hai, 2 rafil ada karti hai or dua karti hai. Dua karte waqt uski aankhon se aansu beh rahe the. Wo dua kar rahi thi ki kash use ek baar fir Sam se milne ka mauka mile. Or Zoya ye dekh rahi thi to kehti hai, "Allah ji Sehrish ki dua qubool farma lijiye na." Or fir so jati hai. Or Sehrish Namaz ke baad Quran padhti hai or Fajar ki Azaan ka intezaar karti hai. Or jaise hi Azaan hoti hai wo namaz padhkar thodi der garden mein tehelti hai or fir apne room mein aakar so jati hai.
Ruhaan's Room.
Ruhaan washroom se nikalkar Meher ko call karta hai. Meher use situation batati hai or wo video call per uski help karta hai solve karne mein. Itne mein Sarim wuzu karke Tahajjud padhne lagte hai.
Or Ruhaan bhi Meher se baat karke,
Tahajjud padhta hai Quran padhta hai
or Fajar ke baad Gym chla jata hai.
Sarim bhi use join krte hai.
Gym se wapas aake dono so jate hai.
Sehrish's Room
Zoya's phone rang. Zoya received call.
Zoya = Assalamu-alaikum Baba. Kese h
aap or mumma. Mummy ki tbyt
kesi h Or aap wapas kb aa rhe.
Hashim= Walekum Salaam beta.
Allahamdulillah sb thik hai. Aaj shaam
ko. tum btao waha sb kese hai.
Zoya = Yaha sb thik hai. Aapko pta hai
Badi Mamma or Bade Baba bht ache
hai. Bht khayal rakh rhe h hum
dono ka. Or Sehrish or m to best
frnds bn gye hai.
Hashim= Acha chlo achi baat hai.
Dhyan rakho shaam m milte
hai. Or Zada pareshan mt
krna Unhe. Ab Ghar chle jao.
Sarim se baat ho gyi hai meri.
Phir time beet ta hai sab dining table par breakfast karte hai. Zoya aur Sarim breakfast finish karke Bade papa aur Badi Mamma se alvida kehte hai. Zoya kehti
Badi Mama, "Kya main Sehrish ko le ja sakti hu?"
Seher: "Theek hai Beta, par jaldi bhej dena."
Zoya: "OK Badi Mama."
Phir Zoya, Sarim aur Sehrish Hashim Mansion ke liye nikal jaati hai. Sabko Allah Hafiz khkr.
________________________________
Baarish ke is safar mein Sarim aur Sehrish ke dilon ki shikayatein sirf Allah tak simat gayi… dono ke jazbaat ek jaise the, par sach abhi parde mein hai. Unhe abhi khud bhi nahi pata ke jise wo yaad kar rahe hain, wo unke saamne hi khada hai.
Yeh kahani ab ek naye mod par hai — mohabbat ke jazbaat aur rabt ka ek gehra imtihaan. 🌧️❤️
Agar aapko yeh chapter pasand aaya ho, toh apne votes aur comments ke zariye mujhe apna pyar zaroor dikhaiyega. Aapka support hi is safar ko aur khoobsurat banata hai. 🌸✨
Write a comment ...