HLO CUTIES.
HERE IS THE CHAPTER 1 OF MOHABBAT ( SABR AUR SHUKR).
PLEASE DO VOTE, COMMENT & SHARE IF YOU LIKE THE STORY.
_______________________
AT AZIZ MANSION

Subha ka waqt tha… suraj ki pehli roshni Aziz Mansion ki khidkiyon se halki-halki andar aa rahi thi. Kitchen se parathhon aur chai ki khushboo mehka rahi thi.

Seher Begum apron baandhe chulhe ke saamne khadi thi. Haath nashta banaane mein masroof aur zubaan par halki si tasbeeh. Unke chehre par ek sukoon tha, jaise nashta ke saath-saath duaayein bhi pak rahi ho.

Dining hall mein Waqas sahab akhbar padh rahe the. Kabhi ghadi ki taraf dekhte, kabhi tasbeeh ki khanak sun kar muskara dete. Waqas Sahab newspaper fold karte hue bole,
“Aray Seher Begum, roz ka ye shor na, mujhe lagta hai humare ghar ka background music hai. Agar ye na ho toh din adhoora lage.”
Seher Begum ne unhe aankh taang kar dekha, “Aapko toh har cheez comedy show lagti hai.”
Waqas Sahab muskaan rok na paye. Newspaper side mein rakha, ek gehri saans li aur chai ki khushboo ko mehsoos karte hue bole,
“Shor sharabe ke beech bhi na, ek ajeeb sa sukoon hota hai. Ye hungama is baat ka saboot hai ke ghar zinda hai… bachon ki hansi, tumhara gussa, Rida ki gadbadi—ye sab na ho toh ghar khaali khaali lage.”
Unka lehja itna shaant tha ke Seher Begum ka gussa halka pad gaya.
Rida ne bhi chupke se smile kar li aur dheere se bola, “Sahib ji sach kehte hain… shor bhi kabhi kabhi sukoon deta hai.”
Seher Begum ne gusse ka nakab thoda side kiya, lips pe halki si muskaan aayi aur keh diya,
“Accha bas karo dono… ab mujhe ghar ke shor ko sukoon mein badalne do, warna breakfast late ho jayega.”
Waqas Sahab ne hansi chhupate hue tasbeeh uthayi aur apne hi andaaz mein kaha,
“Bas yahi toh hai—meri Mohabbat ki Subha." Or Lagta hai aaj nashta thoda der se milega,” unhone mazaak mein kaha, chashme ko upar se jhankate hue.
Seher Begum palat kar dekhti hain, “Aapko bas akhbar aur nashta hi dikhai deta hai… ghar ke aur kaam bhi hote hain, Waqas sahab.”
Waqas sahab hansi daba kar bolte, “Arre hum to soch rahe the aaj Seher begum ne itni der laga di to shayad khud hi mithai bana rahi hongi.”
Seher Begum ne gusse ka naatak kiya, “Ji haan, aapke liye shakkar se bhi meetha jawab rakhti hoon main.”
Peeche maid Razia cups aur plates sajate hue hansi chhupa gayi. Sir jhuka kar bas “Ji baji…” keh kar apna kaam karti rahi.
AT HASHIM MANSION

Jab Aziz Mansion mein chammach ki khanak aur Seher Begum ka gussa goonj raha tha, tab Hashim Mansion mein subha apne hi rang mein dhal rahi thi.

Kitchen mein Faiza, Hashim Mansion ki maid, roti belte belte ek dum ruk gayi. Usne jhat se belan uthaya aur cheekh kar kaha,
“Aray madam ji! Ye gas ka flame phir se low ho gaya… mujhe lagta hai is stove ka bhi retirement time aa gaya hai.”
Misbah Begum, jo breakfast ke liye table set kar rahi thi, ne gusse se haath thap thapaya,
“Faiza! Tumhe toh har cheez drama lagti hai. Flame low hai toh knob ghumao… roz ka naya natak shuru kar deti ho.”
Faiza ne nakhun se knob ghumate hue, naak sikod kar jawab diya,
“Madam, knob ghumana aasan hai… lekin ye chulha ghum ghum kar mera dimaag ghumata hai.”
Itne mein Hashim Sahab apne tasbeeh ke moti ginate hue, shaant si muskaan ke saath kitchen ke darwaze par aa khade hue. Unki awaaz mein ek alag hi sakoon tha:
“Misbah… tum dono ke ye roz ke dialogues na, is ghar ko aur zinda rakhte hain. Mujhe toh lagta hai Faiza ki shikayatein aur tumhara gussa, dono mila ke hi is ghar mein subha hoti hai.”
Misbah Begum ne thoda naraz ho kar kaha, “Ji, aapko toh sab theek lagta hai. Na Faiza ka drama bura lagta hai na bachon ki deri.”
Hashim Sahab ne muskaan aur gehri kar di, “Sukoon isi mein hai Misbah… shor sharabe ke beech bhi apni rooh ko sukoon mil jaye, wahi ghar hota hai.”
Faiza ne belan table par rakha aur phir se drama shuru kar diya, “Madam ji, main keh rahi hoon na… ek din ye chulha poore ghar ko surprise dega. Tab na mujhe yaad karoge!”
Hashim Sahab ne halki hansi ke saath tasbeeh ghumayi aur bola,
“Bas Faiza, tumhara surprise na aaye… warna hamari subha ka sukoon surprise mein badal jayega.”
Misbah Begum ne aankh ghumayi aur bartan table pe rakhte hue kaha,
“Allah ka shukr hai… abhi ke liye toh ye ghar chal raha hai — Faiza ke dramas aur aapke sukoon ke darmiyan.”
AUR IS TARAH SHURU HOTI H MOHABBAT KI SUBHA.
______________________
"Hey doston! 💕 Agar aapko meri story pasand aayi ho, to ek chhota sa vote aur support zaroor de dena 🌸 Aapke ek vote se writer ka dil khil uthta hai 🌼 Aur mujhe aur motivation milti hai aapke liye aur likhne ki.
Write a comment ...